Tv Lounge Designs In Pakistan Tv Lounge Interior Design Ideas

Tv Lounge Designs In Pakistan - Aaj ke dor mein tv lounge ya sitting room ko har ghar mein markazi haisiyat hasil hoti hai. Kyoun ke ghar ka dakhli kamra hota hai, is liye ghar ke tamam afrad ka sub se zayada uthna baithna bhi yahin hota hai, isi liye isay common room ke naam se bhi jana jata hai. Bohat sare gharon mein Tv bhi yahin dekha jata hai aur kabhi kabhar yahan baith kar khane mein bhi koi harj nahin samjha jata. Ghar mein anay wale qadray bay takalaf mehman bhi lounge mein hi baithna pasand kartay hain. Sitting room ko is andaz se sajana chahiye ke ye comfortable hone ke sath sath beautiful nazar aye. Goya is par aik nazar partay hi zehen mein aik dam sadgi ka tasar nazar aye. Lekin zaroori nahin ke aap apne lounge ko shuru se sajayain, is ke bajaye aap chand cheezon ko tabdeel kar ke bhi ghar ke is khubsurat hisay ko naya andaz de saktay hain. Rawayati sajawat ko agar hoshyari ke sath jadeed trend se ham ahang kar diya jaye tou ye andaz dil ko acha lagta hai. Aaeye hum aap ko tv lounge sajane ka tarika batatay hain jinhain apna kar aap apne sitting room ko aik pasandeeda place bana sakti hain aur aik naya trend tashkeel de sakti hain.
Pakistan Tv Lounge Furniture

Comfortable Tv Lounge Sitting: Ab sakht aur ghair aram deh nashishton ka door gya. Aaj kal qadre neechi seeton wale comfortable sofa sets aur chairs istemal ki jati hain. Neechi nashiston wale lambay sofa sets na sirf ache lagtey hain balkeh un par zayada guests ke baithnay ki jagah ban jati hai, zayada behtar ye hai ke lounge mein zayada heavy furniture na rakha jaye. Is ke bajaye good quality aur comfortable foam cushions ko tarjih dain. Is naye tabdeeli par zayada akhrajat nahin ayain gey, Is ke ilawa ye jagah bhi kam ghairtay hain aur waqt ki zaroorat ke teht unhain hata kar safai karne mein bhi asani rehti hai. Agar ghar ka koi fard alergy ka shikar hai tou apne suchions par double covers charha dain, is tarah alergy se mutasir hone ka khatra bhi nahin rahe ga,

Beautiful Rugs: Agar aap ke long room mein pehle se carpet mojood hai aur aap usay tabdeel karna nahin chahtien, tab khubsurat multy colour aur unique designs wala Rug, lounge ko aik mukhtalif andaz paish kar sakta hai. Is maqsad ke liye make over area ya Rugs behtareen hain kyoun ke ye sajawat ke pehlu ko dekh kar design kiye jate hain. Apne carpet ke uper ye Rug daal dain aur jub aap ko woh ache na lagain tou unhain tabdeel karna bhi asan rehta hai. lihaza farsh ki sajawat ki janib se bhi ghafil na rahain.

Furniture Setting: Lounge ka furniture hamesha is andaz se tarteeb dain ke acha dikhai dene ke sath ye kushada nazar aye. Is liye jub bhi apne tv lounge setting badlain is baat ka khayal rakahin ke yahan chalne phirne mein dushwari na ho aur anay janay ke rastay mein koi rukawat na rahe, Is ke ilawa yahan zayada se zayada afrad ke baithnay ki gunjaesh ho. big sofa sets ko walls ke sath laganey ki bajaye unhain thora fasla de kar rakhain aur pechay koi beautiful lamp ya koi acha sa indor plant rakh dain.

TV Lounge Wall Paint Colours: Lounge ki deewar, curtains, sofa aur cushion covers ke rang aisay hon jinhain dekhne se aankhon mein thandak aur tarawat utar aye, off white, cool green, sea green wagera. Green rang ke beshumar shades hain jinhain bila jhijhak azmaya ja sakta hai. Is rang ka tasar bay had farhat bakhsh hota hai. Is andaz ke light colours  hamare mulk ke hot weather se bhi ham ahang hain aur in ki wajah se aap ka lounge ujla aur kushada mehsoos ho ga.

Lighting System - Roshni Ka Munasib Khayal Rakhain: Aap ke lounge ki sitting bohat khubsurat ho lekin us mein lights na hon tou sari decoration fazool lagti hai. Lihaza apne lounge ke liye unchay floor lamps zaroor purchase karain. Un se aap ka pura room jagmaga uthay ga. Is ke ilawa in ke nat naye designs lounge ki araesh mein bhi izafa ka baes hon gey. Kisi mukhtalif shade ka tasar dene wali fency lights lagana bhi acha lagta hai.

Mirror - Sheesha Lagayain: Agar aap chahti hain ke aap ka tv lounge bara nazar aye tou aap aik deewar par bara sa sheesha lagayain. Is se kushadgee ke ilawa dilkashi ka bhi aik tasar paida ho ga jo ankhon ko bhala mehsoos ho ga. Mirror ke samne wali deewar par apni pasand ki choti choti paintings lagayain. Is se aap ke long room ko char chand lag jayain gey.

Other Decorating Items: Lounge ke corners aur table par decoration ke liye crystal ki cheezain ke liye behtareen hain. In cheezon ko select kartay waqt behtareen ko zehan mein rakh lain kyoun ke ye cheezain baar baar nahin khareedi jatien aur kyoun ke unhainkhushnumai mein izafay ki khatar rakha jata hai, is liye hamesha umda hi ko tarjih dain. Aap marble ya crystal mein se beautiful cheezon ka intekhab kar sakti hain. Is ke ilawa aap chahain tou lounge ki windows ko dusre araeshi curtains se bhi saja sakti hain. Ye decorating curtains jinhain Window Valances kaha jata hai, aap ke lounge ki mamooli windoe ko aik mukhtalif tasar de kar usay aik khas andaz mein tabdeel kar saktay hain.

Comments

Popular posts from this blog

Benefits Ya Samad Wazifa Ya Samadu Meaning Ya Samad Zikr Reciting Dua Fazilat

Ya Salamu Benefits Urdu Ya Salam Wazifa Ya Salamo Meaning In Urdu Dua Fazilat 125000

Chandni Raat Essay In Urdu Moon Infomation Chandni Raat Poetry Chand Shayari