Vegetable Farming In Pakistan Onion Growing Season Onion Seeds Urdu

Vegetable Farming In Pakistan: Pyaz ka shumar qadeem tareen sabziyon mein hota hai ye khoon ki sharyanon mein jama hone wali charbi ko tehleel karta hai aur insanon ko dil ke mohlik amraz se mehfooz rakhta hai is ke ilawa is mein madni namkiyat wafar maqdar mein milti hain. Pakistan mein onion sara saal available hota hai. Dry weather onion ki zayada paidawar ke liye behtareen hai. Onion ki nursery par crow ka bohat kam asar hota hai lihaza plant ki kheet mein muntaqili december january mein kar di jati hai.
Onion Growing Season In Pakistan: Pyaz ki kasht ke liye zaroori hidayat ye hai ke 1 acer area par pyaz kasht karne ke liye 3 kg onion seeds 4 se 5 marla zameen paneeri tayar karne ke liyetayar hoti hai paneeri kasht karne ke liye zameen ko achi tarah tayar karain aur choti choti kayariyan banayain. Onion business se profit kamanay ke liye december ke second haftay mein 4 kg seeds 10 marla jagah par nursery kasht karain, May ke akhir mein isi jagah khari nursery se chotay chotay payaz utar liye jayain aur un ko hawa dar boriyon mein daal kar 3 months tak hawa dar room mein store kar lain aur rainy season ke doran june july mein un ko 75cm ki khaliyon ke donon taraf 3 se 4 inch ke distance par kasht karain.

Muntaqili ke 1 din baad us par munasib jari buti maar zehar ka spray karain ye pyaz ki fasal ki qilat ke doran yani november mein batoor sabz pyaz aur december mein batoor dry onion tayar ho jati hai. Is fasal ko jari butiyon se pak, mitti charhana aur aik bori potassium dalna bay had zaroori hai is fasal se zameendar ko zayada qeemat milti hai. Pehle palatnay wala hal chalayain aur kasht se taqreeban 45 days pehle 10 se 12 ton gobar ki khad yani fertilizer har acer ke hisab se dali jaye aur us mein 20 kg urea mila kar zameen ko pani laga diya jaye. Zameen ko hal chala kar hamwar kar ke chorr diya jaye takay jari butiyan kasht se pehle ug ayain. Jari butiyan ugnay ke baad dobara hal chala kar zameen ko khula chorr diya jaye is se aik tou jari butiyon ki talfi ho jaye gi aur dusra ye ke dhoop nikalnay se zameen se kayi bimariyon ke jaraseem bhi khatam ho jayain gey.

Pyaz ki khizan aur bahar ki fasal mein bohat sari types ki jari butiyan payi jati hain, onion ki achi fasal hasil karne ke liye jari butiyon ko nikalna bohat zaroori hai. Plants ki muntaqili ke baad 45 days ke andar 2 ya 3 baar gudi karne se jari butiyon ko khatam kiya ja sakta hai. Pehle 3 din pani 7 se 8 days ke gap  lagayain. Us ke baad abpashi ka gap barhaya ja sakta hai. Mausam khizan ki fasal january ya march tak bardasht ki jati hai. Pyaz ki bardasht ke baad 1 se 2 din tak saya dar jagah mein para rehnay dain takay achi tarah khush ho jaye mausmi pyaz ki fasal ko sahi time par bardasht kar liya jaye tou usay 6 mah tak sahi halat mein zakhira kiya ja sakta hai. Jub pyaz apni nashunuma barhana band kar de tou fasal bardasht ke liye tayar ho jati hai. Winter season ki onion cultivation se har acer ke hisab se ausat paidawar 10 se 12 ton hasil hoti hai jab ke spring season ki pyaz ki fasal se 5 se 6 ton pyaz ugana chahiye.

Comments

Popular posts from this blog

Benefits Ya Samad Wazifa Ya Samadu Meaning Ya Samad Zikr Reciting Dua Fazilat

Ya Salamu Benefits Urdu Ya Salam Wazifa Ya Salamo Meaning In Urdu Dua Fazilat 125000

Chandni Raat Essay In Urdu Moon Infomation Chandni Raat Poetry Chand Shayari