Posts

Showing posts from April, 2014

Tv Lounge Designs In Pakistan Tv Lounge Interior Design Ideas

Image
Tv Lounge Designs In Pakistan - Aaj ke dor mein tv lounge ya sitting room ko har ghar mein markazi haisiyat hasil hoti hai. Kyoun ke ghar ka dakhli kamra hota hai, is liye ghar ke tamam afrad ka sub se zayada uthna baithna bhi yahin hota hai, isi liye isay common room ke naam se bhi jana jata hai. Bohat sare gharon mein Tv bhi yahin dekha jata hai aur kabhi kabhar yahan baith kar khane mein bhi koi harj nahin samjha jata. Ghar mein anay wale qadray bay takalaf mehman bhi lounge mein hi baithna pasand kartay hain. Sitting room ko is andaz se sajana chahiye ke ye comfortable hone ke sath sath beautiful nazar aye. Goya is par aik nazar partay hi zehen mein aik dam sadgi ka tasar nazar aye. Lekin zaroori nahin ke aap apne lounge ko shuru se sajayain, is ke bajaye aap chand cheezon ko tabdeel kar ke bhi ghar ke is khubsurat hisay ko naya andaz de saktay hain. Rawayati sajawat ko agar hoshyari ke sath jadeed trend se ham ahang kar diya jaye tou ye andaz dil ko acha lagta hai. Aaeye hum aap k...

Urdu Gardening Tips Indoor Plants In Pakistan Garden Designs

Image
Indoor Plants in Pakistan - Khushnuma phool aur plants dilkashi ka beas hote hain. Gamlon mein lagey poday ghar mein freshness lanay ka sabab ban saktay hain. Is se ghar ka mahool bhi nikhra nikhra aur khushgawar mehsos hota hai. House ki decoration ke liye lagaye gye different types ke plants expensive bhi nahin hotay aur aap asani se apne ghar ki deewaron ko aur lawn ko khubsurat poday laga ka saja sakti hain. Makan ho ya flat apne ird gird ke rang aur fitrat ki khbusurati ko asani se ghar mein shamil karne ke liye flower pots yani gamlay lagaye ja sakte hain aur un ki zara si dekh bhal se aap bohat sare faide bhi hasil kar sakti hain. For example gamlon mein khushnuma plants and flowers ke sath sath podeena, dhania, tamatar, hari mirch aur sabziyon ki woh types jo kam jagah laiti hain, asani se laga sakti hain. Indoor Plants laganey ke liye 3 naton ka khayal rakhna zaroori hai. Flower pots ka sahi intekhab. Flower lagane ka mausam. Plants ka intekhab. In tamam mein bunyadi ahmiyat j...

Fruit Farming Pakistan Zaitoon Cultivation Olive Growing Season Olive Plant

Image
Fruit Farming Pakista - Zaitoon ko english mein Olive kehte hain is ka shumar world mein important fruits mein hota hai aur kyoun na ho is ka zikar Quran Majeed mein hai. Zaitoon ki kasht Pakistan mein bhi ki ja sakti hai. Farming Zaitoon Ki Kasht Ka Area: Olive ki jungli iqsam Pakistan mein bohat payi jati hain jo ye zahir karti hain ke wahan olive cultivation kamyabi se ho sakti hai. Olive plant ko flower anay aur fruit lagney ke liye sardi ka mausam chahiye hota hai agar plant ko ye mausam na milay tou phal nahin lagta. Isay samandar ki satah se 2000 se 3000 foot ki unchai tak ke alaqon mein bhi kasht kiya ja sakta hai. Zameen: Zaitoon ki growing ke liye gehri zameen jo barish ke pani ko khasi dair tak apne andar jazb rakh sakay behtar tasawar ki jati hai. Zaitoon Fruit: Is ka phal august september mein pak jata hai. Jub live fruit ka rang jamni ho jayetou phal ko plant se utar laina chahiye. Phal ko utarne ke kayi tarika hain lekin hath se utare hue phal ma mayar sub se acha hot...

Vegetable Farming In Pakistan Onion Growing Season Onion Seeds Urdu

Image
Vegetable Farming In Pakistan: Pyaz ka shumar qadeem tareen sabziyon mein hota hai ye khoon ki sharyanon mein jama hone wali charbi ko tehleel karta hai aur insanon ko dil ke mohlik amraz se mehfooz rakhta hai is ke ilawa is mein madni namkiyat wafar maqdar mein milti hain. Pakistan mein onion sara saal available hota hai. Dry weather onion ki zayada paidawar ke liye behtareen hai. Onion ki nursery par crow ka bohat kam asar hota hai lihaza plant ki kheet mein muntaqili december january mein kar di jati hai. Onion Growing Season In Pakistan: Pyaz ki kasht ke liye zaroori hidayat ye hai ke 1 acer area par pyaz kasht karne ke liye 3 kg onion seeds 4 se 5 marla zameen paneeri tayar karne ke liyetayar hoti hai paneeri kasht karne ke liye zameen ko achi tarah tayar karain aur choti choti kayariyan banayain. Onion business se profit kamanay ke liye december ke second haftay mein 4 kg seeds 10 marla jagah par nursery kasht karain, May ke akhir mein isi jagah khari nursery se chotay chotay pa...